
40-Second Badal Saktey Hain Ek Zindagi!
Table of Contents
Mental Health ki importance ke baarey mei aaj bhi logg nahin jaante. Jab bhi Mental Health ki baat aati hai toh logg aksar iss baat ko paagalpan se relate karne lagte hein. Maybe you don’t know, ki Physical fitness ke saath saath mental fitness bhi zaruri hai.
Kya kaafi dino se kisi baat ko lekar restless feel kar rhe hein? Kya dil aur dimaag dono different direction mein soch rahein hein? Kisse baat karun, kahan se baat shuru karun? Kya mann mein aise bahot se sawaal aa rahe hein? Dil keh raha hai ki mere dost aur family mujhe samjhenge, lekin kya dimaag keh raha hai ki woh nahin samjhenge?
Family or friends ko lekar aisa doubt kyun? Kya aap bhool gaye ki kaise aapke parents aapke bolne se pehle hi aapki baat samajh jaya karte hein, kaise aapke friends aapki har problem mein saath khade rehte hein. Jab family aur friends ne har baar saath diya hai toh aaj bhi woh har haal mei aapke saath hi rahenge.
Chalo ek baar koshish karke dekho, zara apno se baat toh karke dekho. Problems har kisi ki life ka part hein, par iss reason se life rukni nahi chahiye. Kyunki jab apne hein saath, toh darne ki kya hai baat. Koi bhi decision lene se pehle, agar ek baar problem discuss kar li jaaye, toh kya pata sab kuch positive aur better ho jaaye.
Kyunki Baat karne se hi hoti hai mushkilein asaan. #BaatTohKaro
DocsApp par aap kar saktey hein Psychologist se online baat